Eid Mubarak Sms, Messages, Wishes, Images, Pics, Gifs, Quotes, Songs, Cards, Greetings

Dukhi Poetry in Urdu - Urdu Lovey Poetry - Dukhi Shayari in Urdu - Sad Dukhi Poetry


Jugnu koi sitaaron ki mehfil main kho gaya…
****
Itna na kar malaal jo hona tha wo ho gaya…
****
Parward-e-gaar to janta hai diloon ka haal…
****
Main ji na paoon ga jo usey kuch bhi ho gaya…
****
Ab us ko deakh kar nhi dharkay ga mera dil…
****
Kahan ka mujh ko yeh bhi sabaq yaad ho gaya…
****
Baadal utha tha sab ko rulaanay kay waastay…
****
Aanchal bhi kho gaya kahin daaman bhi khoo gaya…
****
Aik larki aik larkay kay kandhay par so gayi…
****
Main ujli dundi yaadon k kahray main kho gaya…
❤❤❤❤❤
Bicharnay aur judai main
zara sa fark hota hai
Juda ho kar kisi se phir
kabi koi nahi milta
****
Bichar jain to milnay ka
koi imkaan rehta hay
Juda ho kar kisi ki yaad
dil main reh nahi sakti
bichar jain to dil main ik
diya jalta hi rehta hay
****
Juda ho kar kisi ka pyaar
dil main reh nahi sakta
bichar jain to dil main bus
usi ka pyar rehta hay
****
To phir aay hum sukhan meray
tu mera faisla sun lay
mujehn tum se bicharna hay
Juda tum se nahi hona …
❤❤❤❤❤


Bohat koshish kare lakin
Musafir aa nahin sakta
Koi phir rok laita hai,
Usey wapis palatney se,
Faqat mur kar hi takney se,
Or us ka muntazir lamha,
Kai sadiyon, kai janmon se,
Us ka muntazir lamha,
Bil\’aakhir beet jata hai,
Muqaddar jeet jata hai…

❤❤❤❤❤

Sach bhut mudat sy aisa hai,
k tum khamoosh rehty ho,
koe gehra hai gham shayed ,
jisy chup chaap sehty ho,
yunhi chalty hue tanha,
koe ghamgeen sa naghma,
tum aksar gun gunaty ho,
doran-e-ghuftagu yunhi,
milain nazron sy jab nazrain,
to batain bhool jaty ho,
kisi gum sum c halat main,
ya phir barish k mosam main,
faqat itna hi kehty ho,
udasi bewaja c hai,
bhut bojhal tabeat hai,
bhala sach kyun nae kehty,

TUMHAIN US SAY MOHABAT HAI…

❤❤❤❤❤

*** DIL-RUBA ***

Tujhay kia sunaon mein dil-ruba
Tere samny mera haal hy
Teri ek nigaaha ki bat hy
Meri zindagi ka sawal hy
Tery hu\’sn per hy meri nazar
Mujhay subho-shaam ki kia khabar
Meri shaam hy teri justuju
Meri subho tera khayal hy
Mery dil jigar main sama bhi ja
Rahy kyun nazar ka bhi faasla
K tery baghair to jan-e-jann
Mujhay zindagi bhi muhal hy
Meri her khushi tery dam sy hy
Meri zindagi tery gham sy hy
Tery dard sy rahy b-e-khabar
Mery dil ki kab ye majal hy…

❤❤❤❤❤

Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
Zazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
Kabhi najuk toh kabhi tufaano sa.
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahin,
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.

Yuh rehta toh mere tassavur me hai,
Par in aankho ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahin…
❤❤❤❤❤

Post Top Ad

Post Bottom Ad